Wednesday, February 28, 2007

Mati ke putle!!!

Ek din pucha bhagwan se meine

Kaise banaye insaan tune

Itne saare mati ke putlon ko

Itni barikise kaise buna tune

Sabke sapne alag alag

Sab dikhte he alag alag

Bunte bunte in putlon ko

Kya thake nahi tum ab tak

Akhir kab tak kam karoge bhagwan

Kab tak bunoge tum insaan

Ek din pucha bhagwan se meine

Kaise banaye insaan tumne...........